Our Haridwar and Rishikesh Adventures
I10, Ford aur chali thi daaru waali gaddi.
Chal rahi thi gaadiyan jaisey Ferrari ho road par,
Gaadi dheemi kaisey kar le hum kisi mod par.
Pareshaan tha Amit, yeh saaley kahan ruk gaye hongey,
Pakka kisi daaru ki dukaan main ghus gaye hongey,
Akbar ke zamaney ka paani aur sandwich mangaye,
Cold Drink ke saath maagi jam ke khaayeey.
Na poocho, bus mazaa aa gaya
Na poocho, bus mazaa aa gaya
Haridwar ki galiyon main bhatak rahey they rahi,
Rasta pooch pooch kar jaan nikal chuki thi aadhi,
Garima ke papa ne gazab intezaam karaaya,
Khaaney ke saath saath, geet gazal bhi sunwaaya
Subah paanch baye uthney main lag rahi thi waat,
Har Ki Paudi par darshan huye, to laga jaisey man ho gaya shaant,
Ghodey bech so rahey they do jawaan,
Aur wahan hum kha rahey they Kachori aur Halua jaisey mishthaan.
Na poocho, bus mazaa aa gaya
Na poocho, bus mazaa aa gaya
Rafting ka mazaa keval ek insaan ne uthaaya,
Normal is boring bol kar Pratibha ne paani main jump lagaya,
Water floating ki thi baat niraali,
Cliff jumping ne to, jaisey “Mountain Dew” ki yaad dila di.
Soch rahey they dar ke aagey jeet hai,
Sab soch rahey saaley aagey na dekh , Cliff kaafi deep hai.
Resort tak pachuney ki laalsa bhad rahi thi,
Dekh kar trekking ki dhallan jaan atak rahi thi,
Soch rahey they neechey to jaisey taisey pahuch jaayengey,
Aisa na ho waapas aatey waqt kuch zyada hi oopar chaley jayengey.
Waadiyon ke beech basey they aashiyaaney,
Sukoon sa mehsoos ho raha tha, chahey maaney ya na maaney,
Shahar ki bheed main humney man ki shaanti to gawaai,
Par khuley aasman ke neechey jaisey wo shaanti ho laut aai.
Na poocho, bus mazaa aa gaya
Na poocho, bus mazaa aa gaya
Sharma ji dhoondh rahey they sand beach par fridge,
Necessity is the mother of inventions and he started to dig,
Wahan paani “cold drinks” ko thanda kar rahi thi,
Wahin Ruby hawa main flying disc uda rahi thi.
Khula aasman, aur taaron ki chaoon main,
Chal rahi thi cold drink, snacks aur they cans haath main,
Kharbanda ne antakshari main bhadiya dhoom machaya,
Saarthak night ne to bus sab par kehar tha dhaaya,
Khaaney peeney main baj gaya tha baara,
Us raat ki masti se koi bhi nahi tha bach paaya.
Na poocho, bus mazaa aa gaya
Na poocho, bus mazaa aa gaya
Aankh moondtey Rock Climbing ka turn aaya,
Floaters pehen “Rock climbing karney waali pehli ladki”,
Priyanka ne yeh ajeeb khitaab tha paaya,
Sharad tha madhosh kyonki wo tha jharney ka paani,
Ho gaya tha mast, aur kar rha tha man maani,
Us waterfall ke neechey dhoondh rahey they hum indradhanush,
Kaash waterproof taash hotey to hum ho jaatey aur khush.
Swimming ke time main mazaa aa gaya,
Jaisey Gaurav khoi hui jawaani waapas paa gaya,
Hawa main stunt hai uska shauck,
Kasam se keh raha hoo, He definitely rocks…. :D
Waapasi main kuch baithey khachchar pe aur shehanshah ban gaye,
Kuch baithey kar turant utar gaye,
Aur Baaki khud ka bojh uthaey,
khud hi khachchar ban gaye
Na poocho, bus mazaa aa gaya
Na poocho, bus mazaa aa gaya
